qasd  kartā  hai  bagūloñ  se  lipaT  jaane  kā
kitnā  dilchasp  ye  andāz  hai  dīvāne  kā
baḌh  gayā  had  se  junūñ  aap  ke  dīvāne  kā
vaqt  ab  aa  gayā  parde  se  nikal  aane  kā
lafz-e-kun  se  kahīñ  taḳhlīq-e-do-ālam  hotī
husn-e-andāz  thā  ye  aap  ke  farmāne  kā
soz-e-ulfat  se  jale  donoñ  barābar  lekin
sham.a  badnām  hai  aur  naam  hai  parvāne  kā
dil-e-'iqbāl'  pe  andoh-e-mohabbat  kyā  hai
ek  bādal  hai  barasne  kā  na  barsāne  kā