Aditya Pant Naaqid

lab-e-KHamosh mein pinhan hai koi raaz nahin

Aditya Pant Naaqid

Delhi, India

1971
lab-e-ḳhāmosh meñ pinhāñ hai koī raaz nahīñ
zindagī saaz hai jis meñ koī āvāz nahīñ
kyuuñ na āġhosh-e-taḳhaiyul meñ maiñ uḌtā hī rahūñ
dar-haqīqat hai mujhe ḳhvāhish-e-parvāz nahīñ
mere kirdār meñ hai nekī badī par bhārī
kyuuñ vo kar paa.e badī ko nazar-andāz nahīñ
ye ta.alluq jo kiyā qat.a huā qissa tamām
ye na.ī dāstāñ kā nuqta-e-āġhāz nahīñ
rū-ba-rū aa.ine ke jā.ūñ to dikhtā hai mujhe
ajnabī shaḳhs jo ham-shakl-o-ham-āvāz nahīñ
huuñ to hargiz nahīñ pāband-e-qavā.ed 'nāqid'
apnī āvārgī pe mujh ko magar naaz nahīñ
Top Urdushayar.com