mirī  biptā  bhī  kitnī  dukh-bharī  hai
jise  taqdīr  sun  kar  hañs  rahī  hai
yahāñ  sochoñ  ke  par  kaise  khuleñge
mahz  jismoñ  pe  sab  duniyā  rukī  hai
mujhe  bhejā  to  puurā  thā  ḳhudā  ne
magar  hissoñ  kī  qīmat  lag  rahī  hai
kahāñ  kā  ishq  aur  kaisī  mohabbat
havasnākī  kī  ik  manDī  sajī  hai
maiñ  fardā  faḳhr-e-ādam  kyuuñ  nahīñ  thī
bahut  arzāñ  mirī  bolī  lagī  hai