Saima Aftab

kamal-e-zabt ko yaksar bhi aazmana nahin

Saima Aftab

Talagang, Punjab, Pakistan

1976
kamāl-e-zabt ko yaksar bhī āzmānā nahīñ
tabāh kījiye chup-chāp par jatānā nahīñ
tū shahr-e-dil meñ nayā hai so mashvara sun le
ziyāda gahre marāsim yahāñ banānā nahīñ
chalā gayā hai magar ye sabaq sikhā gayā hai
taras dobāra kisī dil-zada pe khānā nahīñ
kuredte hue qismat ke band tah-ḳhāne
lage haiñ saañp mire haath par ḳhazāna nahīñ
ab is maqām se raste judā haiñ tere mire
havāle rab ke chale jaao aur bhulānā nahīñ
supurdagī to baḌā mas.ala nahīñ lekin
harīm-e-zāt meñ ḳhud merā ānā-jānā nahīñ
bachāo us ko miyāñ vasl kī mashaqqat se
ye ishq apnī tabī.at meñ āmiyāna nahīñ
Top Urdushayar.com