us  ne  kiyā  hijāb  mire  dekhne  ke  ba.ad
us  ko  milā  savāb  mire  dekhne  ke  ba.ad
sūrat  pe  chār-chāñd  lage  the  janāb  kī
ye  bhī  thā  inqalāb  mire  dekhne  ke  ba.ad
merī  nazar  se  Dāliyāñ  chhū  kar  harī  huiiñ
khilne  lage  gulāb  mire  dekhne  ke  ba.ad
itnā  maiñ  sher-fahm  nahīñ  huuñ  magar  yahāñ
chhapte  haiñ  intiḳhāb  mire  dekhne  ke  ba.ad
khultā  hī  jā  rahā  hai  kisī  ruḳh  ke  rū-ba-rū
sharm-o-hayā  kā  baab  mire  dekhne  ke  ba.ad
pahle  nazar  uThā  ke  mujhe  dekhte  bhī  the
lekin  ye  ijtināb  mire  dekhne  ke  ba.ad
merī  nazar  meñ  dosto  shiddat  balā  kī  thī
TuuTā  paḌā  thā  ḳhvāb  mire  dekhne  ke  ba.ad