ġhazleñ  likh  likh  pāgal  hone  vaalā  huuñ
jhuuT  nahīñ  ab  sach  meñ  rone  vaalā  huuñ
bāteñ  karnā  phone  pe  jaan  ab  chhoḌo  bhī
ḳhvāb  meñ  aao  maiñ  bhī  sone  vaalā  huuñ
haath  pakaḌ  kar  rok  lo  merī  jaan  mujhe
phir  duniyā  kī  bhiiḌ  meñ  khone  vaalā  huuñ
aur  na  mailā  kar  duuñ  us  ke  dāman  ko
daaġh  jo  us  ke  dil  se  dhone  vaalā  huuñ
us  ko  kis  ummīd  pe  apnā  bol  diyā
maiñ  to  aur  kisī  kā  hone  vaalā  huuñ
galī  galī  bahlātā  phirtā  bachchoñ  ko
tum  samjho  ik  shaḳhs  khilaune  vaalā  huuñ
kāġhaz  ke  ye  phuul  mahakte  thoḌī  haiñ
maiñ  lafzoñ  ke  haar  pirone  vaalā  huuñ