chehre  se  kab  ayaañ  hai  mire  iztirār  bhī
lekin  maiñ  kar  rahā  huuñ  tirā  intizār  bhī
shāyad  tujhe  ho  dastaras  apne  vajūd  par
mujh  ko  to  is  nazar  pe  nahīñ  iḳhtiyār  bhī
milne  lage  haiñ  ab  to  ḳhushī  ke  libās  meñ
ġham-hā-e-zindagī  kā  hai  koī  shumār  bhī
ho  laakh  ḳhūb-rū  koī  apne  ta.iiñ  magar
hotā  hai  aks-o-ā.ine  par  inhisār  bhī
yakjā  huī  haiñ  husn  kī  sab  us  meñ  ḳhūbiyāñ
chehre  pe  tāzgī  hai  nazar  meñ  ḳhumār  bhī
lagtā  hai  jān-būjh  ke  aisā  kiyā  gayā
tū  ne  banā.ī  chiiz  koī  pā.edār  bhī
mahzūz  ham  bhī  hoñge  jo  fursat  kahīñ  mile
gulshan  bhī  hai  gulāb  bhī  rañg-e-bahār  bhī