rotī  huī  āñkhoñ  kā  vo  manzar  nahīñ  dekhā
chhoḌ  aa.e  to  phir  ham  ne  palaT  kar  nahīñ  dekhā
kuchh  vo  bhī  samajhne  kā  takalluf  nahīñ  karte
kuchh  ham  ne  zabāñ  se  kabhī  kah  kar  nahīñ  dekhā
shāyad  usī  kamyāb  ko  kahte  haiñ  tabassum
ham  ne  tire  chehre  pe  jo  aksar  nahīñ  dekhā
ham  husn  ba-andāz-e-hasīñ  dekhne  vaale
sach  baat  hai  tujh  sā  koī  paikar  nahīñ  dekhā
is  zaḳhm  kā  zālim  ko  to  ehsās  bahut  hai
jis  zaḳhm  ko  ham  ne  kabhī  gin  kar  nahīñ  dekhā
ham  ko  to  sar-e-hashr  thī  ik  aur  kasak  bhī
jaate  hue  ham  ne  ruḳh-e-dilbar  nahīñ  dekhā