resham  zulf  ke  taar  bhī  bāteñ  karte  haiñ
us  ke  to  ruḳhsār  bhī  bāteñ  karte  haiñ
itnā  vaqt  maiñ  detā  huuñ  us  laḌkī  ko
ab  to  mere  yaar  bhī  bāteñ  karte  haiñ
sau  afsāne  ban  jaate  haiñ  donoñ  ke
ham  donoñ  do  chaar  bhī  bāteñ  karte  haiñ
har  ik  sher  nahīñ  ho  saktā  achchhā  sher
shā.ir  kuchh  be-kār  bhī  bāteñ  karte  haiñ
itne  zaḳhm  dikhātā  huuñ  maiñ  aa.e  din
mujh  ko  to  ġham-ḳhvār  bhī  bāteñ  karte  haiñ