ghar  se  tumhārī  dī  huī  chīzeñ  nikāl  deñ
jaise  ḳhud  apne  jism  se  sāñseñ  nikāl  deñ
dekhā  bas  ik  dafa  use  maiñ  ne  qarīb  se
phir  ahl-e-shahr  ne  mirī  āñkheñ  nikāl  diiñ
hairat  hai  us  ne  qaid  bhī  ḳhud  hī  kiyā  mujhe
phir  ḳhud  mire  farār  kī  rāheñ  nikāl  diiñ
kuchh  us  ne  bhī  saheliyoñ  ke  muñh  se  sun  liyā
kuchh  mere  dostoñ  ne  bhī  bāteñ  nikāl  diiñ
ik  pal  meñ  ḳhatm  ho  ga.ī  umr-e-tavīl  bhī
jab  zindagī  se  hijr  kī  rāteñ  nikāl  diiñ
jaane  vo  kis  ke  vāste  likhī  ga.iiñ  ai  dost
maiñ  ne  musavvade  se  jo  nazmeñ  nikāl  diiñ