Rakib Mukhtar

hukm-e-murshid pe hi ji uThna hai mar jaana hai

Rakib Mukhtar

Shorkot, Punjab, Pakistan

1987
hukm-e-murshid pe hī jī uThnā hai mar jaanā hai
ishq jis samt bhī le jaa.e udhar jaanā hai
merī bīnā.ī tire qurb kī marhūn hai dost
haath chhoḌvā ke bhalā tujh se kidhar jaanā hai
us kī chhāñv meñ bhī thak kar nahīñ baiThā jaatā
tū ne jis peḌ ko phaldār shajar jaanā hai
hue ḳhadshāt ki pahchān nahīñ paayā tujhe
maiñ samajhtā thā ki tū ne bhī bichhaḌ jaanā hai
laḌkhaḌātā huuñ to vo ro ke lipaT jaatā hai
maiñ ne girnā hai to us shaḳhs ne mar jaanā hai
ḳhushk mashkīza liye ḳhālī palaTnā hai use
aur dariyāoñ kā shīrāza bikhar jaanā hai
Top Urdushayar.com