ḳhvāb  kī  khiḌkī  se  us  ko  dekhnā  achchhā  lagā
niiñd  ke  āñgan  meñ  shab-bhar  jāgnā  achchhā  lagā
shahr-e-nā-pursāñ  thā  yuuñ  bhī  kaun  kis  ko  pūchhtā
ek  pal  ko  us  kā  muḌ  kar  dekhnā  achchhā  lagā
saath  thā  sahrā  meñ  bhī  vo  har-qadam  sāya-sifat
is  tarah  shahr-e-ḳhirad  se  lauTnā  achchhā  lagā
ban  gayā  ik  khel  sā  auroñ  meñ  ḳhud  ko  DhūñDhnā
kūcha  kūcha  qarya  qarya  ghūmnā  achchhā  lagā
ḳhvāb  kaisā  thā  ki  saarī  umr  āñkhoñ  meñ  rahā
dhyān  kis  kā  thā  ki  pahroñ  sochnā  achchhā  lagā
chāñdnī  rātoñ  meñ  aksar  jaag  kar  sochā  jise
us  kā  raste  meñ  achānak  sāmnā  achchhā  lagā
fasl-e-gul  aa.ī  to  kyā  kyā  sūrateñ  bāham  huiiñ
chehra  chehra  ek  sūrat  DhūñDhnā  achchhā  lagā
kahkashāñ  kī  kahkashāñ  merī  galī  meñ  aa  ga.ī
kaisī  aahaT  thī  ki  khiḌkī  kholnā  achchhā  lagā
jaane  kyā  khoyā  ki  ab  tak  DhūñDte  phirte  haiñ  ham
jaane  kyā  paayā  ki  sab  kuchh  bhūlnā  achchhā  lagā