dard  kī  dīvār  sar  tak  aa  ga.ī
dil  kī  bīnā.ī  nazar  tak  aa  ga.ī
ret  par  naqsh-e-qadam  ko  DhūñDhtī
zindagī  shām-o-sahar  tak  aa  ga.ī
raushnī  kā  rañg  phīkā  paḌ  gayā
tīrgī  dīvār-o-dar  tak  aa  ga.ī
sub.h  chamkī  yā  koī  taarā  girā
chāñdnī  sī  mere  ghar  tak  aa  ga.ī
aur  hoñge  jin  ko  manzil  mil  ga.ī
justujū  tark-e-safar  tak  aa  ga.ī
band  darvāze  pe  khaTkā  sā  huā
baat  itnī  sī  ḳhabar  tak  aa  ga.ī
raat  ke  pichhle  pahar  yādoñ  kī  dhuup
dhyān  ke  būḌhe  shajar  tak  aa  ga.ī
us  kā  naam  aayā  to  kaliyāñ  khil  uThīñ
baat  phir  shams-o-qamar  tak  aa  ga.ī