sāmān-e-zauq-o-shauq  sameTo  safar  karo
rahnā  zarūr  hai  to  kisī  dil  meñ  ghar  karo
ḳhud-āshnā  nahīñ  to  mukammal  nahīñ  hayāt
dil  ko  asīr-e-halqa-e-ahl-e-nazar  karo
ārāsta  lahū  se  bhī  hotā  hai  qasr-e-dil
kuchh  aur  bhī  hasīn  ye  dīvār-o-dar  karo
ubhregā  zulmatoñ  se  na.e  din  kā  āftāb
tārīkiyoñ  ke  ḳhauf  ko  nazr-e-sharar  karo
pahle  ḳhizāñ  ke  chāk-garebāñ  ko  dekh  lo
phir  dāman-e-bahār  kī  jānib  nazar  karo