dil  ke  be-tartīb  vīrāne  ko  ghar  us  ne  kiyā
phir  nizām-e-zindagī  zer-o-zabar  us  ne  kiyā
aas  ke  raushan  diye  rakh  kar  fasīl-e-shām  par
raat  ke  andhe  safar  ko  be-ḳhatar  us  ne  kiyā
ek  us  ke  dam  se  har  mausam  huā  rashk-e-bahār
ek  shāḳh-e-ārzū  ko  be-samar  us  ne  kiyā
an-kahe  lafzoñ  ko  baḳhshā  ik  nayā  tarz-e-kalām
an-bahe  ashkoñ  ko  phir  la.al-o-gohar  us  ne  kiyā
be-qarārī  thī  jise  sunñe-sunāne  ke  liye
harf-e-shauq-e-be-karāñ  ko  muḳhtasar  us  ne  kiyā
ḳhvāb  meñ  milnā  to  goyā  roz  kā  ma.amūl  thā
is  anokhe  khel  ko  yuuñ  mo'atabar  us  ne  kiyā
umr-bhar  jis  ko  nigāheñ  DhūñDhtī  phirtī  raheñ
umr-bhar  mere  ḳhayāloñ  meñ  basar  us  ne  kiyā
kar  rahā  thā  vo  bhī  taare  toḌ  kar  laane  kī  baat
be-sabab  lamhoñ  kā  jaadū  be-asar  us  ne  kiyā
kahkashāñ  phirtī  rahī  galiyoñ  meñ  kis  ko  DhūñDhtī
log  kahte  haiñ  mire  ghar  tak  safar  us  ne  kiyā