kyuuñ  falak-āshnā  kiyā  thā  mujhe
jab  zamīñ  par  hī  pheñknā  thā  mujhe
ban  gayā  maiñ  kitāb  qissoñ  kī
us  ne  ik  lafz  meñ  kahā  thā  mujhe
ab  nagīna  hai  kal  yahī  patthar
rāste  meñ  paḌā  milā  thā  mujhe
us  kā  aaseb  mujh  pe  barsegā
hādsa  ye  bhī  jhelnā  thā  mujhe
maiñ  naqīb-e-sabā  thā  phūloñ  ne
pattharoñ  kī  tarah  sunā  thā  mujhe
maiñ  sadā  sāhiloñ  kī  kyā  suntā
ruḳh  havāoñ  kā  moḌnā  thā  mujhe
maiñ  bahut  kaam  kā  thā  us  ke  liye
aur  zaa.e  vo  kar  rahā  thā  mujhe
ab  vo  ḳhud  ko  talāsh  kartā  hai
jo  kabhī  mujh  meñ  DhūñDhtā  thā  mujhe
bachcha  majbūriyoñ  ko  kyā  jaane
ik  khilaunā  ḳharīdnā  thā  mujhe