Nusrat Gwaliari

lahu uchhaalte lamhon ka silsila nikla

Nusrat Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1938
lahū uchhālte lamhoñ kā silsila niklā
mujhe pahuñchnā kahāñ thā kahāñ maiñ aa niklā
jahāñ safed gulāboñ kā ḳhvāb thā raushan
vahāñ siyāh pahāḌoñ kā silsila niklā
bahāv tez thā dariyā kā chand lamhoñ meñ
mirī nigāh kī had se vo duur jā niklā
tilism TuuTā jab us ke hasīn lahje kā
mirī umiid ke bar-aks faisla niklā
na jaane kab se maiñ us ke qarīb thā lekin
baġhaur dekhā to sadiyoñ kā fāsla niklā
jo lamha lamha judā kar rahā thā ḳhud se mujhe
mire vajūd ke andar hī vo chhupā niklā
samajh rahe the jise ham barāt kā manzar
qarīb jā ke jo dekhā to hādsa niklā
Top Urdushayar.com