naqsh-e-pā  us  ke  rāsta  us  kā
muḌ  ke  dekhā  to  kuchh  na  thā  us  kā
mubtalā  kar  gayā  azāboñ  meñ
ek  kamzor  faisla  us  kā
iḳhtiyārāt  kam  na  the  mere
maiñ  ne  chāhā  nahīñ  burā  us  kā
kaam  to  aur  hī  kisī  kā  thā
naam  bad-nām  ho  gayā  us  kā
log  jis  zahr  se  halāk  hue
kitnā  mīThā  thā  zā.iqa  us  kā
jo  mirī  haar  par  bahut  ḳhush  thā
ab  hai  ḳhud  se  muqābla  us  kā
raah  kī  zulmatoñ  se  manzil  tak
ik  ujālā  hai  hausla  us  kā
kaun  jaane  vo  kyuuñ  bhaTaktā  rahā
us  ko  to  yaad  thā  patā  us  kā
us  ke  qātil  baḌī  aqīdat  se
pūjte  haiñ  mujassama  us  kā
toḌ  kar  mujh  se  rishta-e-ummīd
kitnā  nuqsān  ho  gayā  us  kā
ġhalatī  ho  ga.ī  samajhne  meñ
chāhtā  thā  maiñ  fā.eda  us  kā