shafaq  kā  rañg  kā  ḳhushbū  kā  ḳhvāb  thā  maiñ  bhī
parā.e  haath  meñ  koī  gulāb  thā  maiñ  bhī
na  jaane  kitne  zamāne  mire  vajūd  meñ  the
ḳhud  apnī  zaat  meñ  ik  inqalāb  thā  maiñ  bhī
kahāniyāñ  to  bahut  thiiñ  magar  likhī  na  ga.iiñ
kisī  ke  haath  meñ  saada  kitāb  thā  maiñ  bhī
na  jaane  kyuuñ  nazar-andāz  kar  diyā  mujh  ko
jahāñ  pe  tum  the  vahīñ  dastiyāb  thā  maiñ  bhī
añdhere  bone  kā  un  ko  junūn  thā  jaise
chamak  meñ  apnī  jagah  āftāb  thā  maiñ  bhī
tumhī  nahīñ  the  samundar  ke  pāniyoñ  kī  tarah
kabhī  sukūn  kabhī  iztirāb  thā  maiñ  bhī
na  pūchho  kitnā  mazā  guftugū  meñ  aayā  hai
zahīn  vo  bhī  thā  hāzir-javāb  thā  maiñ  bhī