chāñd  kī  kashtī  sajī  hai  aur  maiñ
jhiil  hai  ik  jal-parī  hai  aur  maiñ
lau  diye  kī  siskiyāñ  letī  huī
TimTimātī  raushnī  hai  aur  maiñ
dhuup  qarnoñ  kī  masāfat  se  niDhāl
tez  lamhoñ  kī  nadī  hai  aur  maiñ
gosh-bar-āvāz  haiñ  dīvār-o-dar
be-vazāhat  naġhmagī  hai  aur  maiñ
phir  usī  āvāz  kā  mauhūm  aks
phir  vahī  harf-e-ḳhafī  hai  aur  maiñ
ilm  kā  sahrā  hai  tā-hadd-e-nazar
ik  musalsal  tishnagī  hai  aur  maiñ
phir  vahī  be-nām  pāgal  ḳhvāhisheñ
phir  vahī  andhī  galī  hai  aur  maiñ
bikhre  bikhre  ḳhvāb  haiñ  mere  liye
reza  reza  zindagī  hai  aur  maiñ
niiñd  se  bojhal  haiñ  palkeñ  raat  kī
ik  adhūrī  Diary  hai  aur  maiñ