palak  palak  sail-e-ġham  ayaañ  hai  na  koī  aahaT  na  koī  halchal
kasak  ye  kaisī  darūn-e-jāñ  hai  na  koī  aahaT  na  koī  halchal
hamārī  bastī  meñ  har  taraf  inqalāb-e-nau  kā  amal  thā  jaarī
na  jaane  ye  kaun  sā  jahāñ  hai  na  koī  aahaT  na  koī  halchal
lahū  uchhalne  kā  shor  jaise  fazā  meñ  gūñjā  kabhī  nahīñ  thā
ye  hukm-e-shahr-e-sitamgarāñ  hai  na  koī  aahaT  na  koī  halchal
ho  sub.h-e-raushan  ki  shām-e-rañgīñ  kisī  meñ  koī  kashish  nahīñ  hai
har  ek  ḳhvāhish  dhuāñ  dhuāñ  hai  na  koī  aahaT  na  koī  halchal
na.e  zamāne  kī  maiñ  bashārat  kā  muntazir  huuñ  magar  abhī  tak
hayāt  aise  ravāñ-davāñ  hai  na  koī  aahaT  na  koī  halchal
hujūm-e-saut-o-sadā  saḌak  par  julūs  ban  kar  nikal  paḌā  hai
samā.atoñ  kā  ye  imtihāñ  hai  na  koī  aahaT  na  koī  halchal
maiñ  apne  andar  jahāñ  chhupā  huuñ  koī  na  pahuñchā  vahāñ  abhī  tak
sukūt  har  samt  be-karāñ  hai  na  koī  aahaT  na  koī  halchal
fazā  kī  raunaq  zamīñ  kī  saj  dhaj  qalam  kī  jumbish  pe  munhasir  hai
ajiib  pābandī-e-zabāñ  hai  na  koī  aahaT  na  koī  halchal
mire  tasavvur  kī  nīlgūñ  jhiil  meñ  ek  taarā  jahāñ  girā  thā
vahāñ  ḳhamoshī  balā-e-jāñ  hai  na  koī  aahaT  na  koī  halchal
baḌhūñ  to  aage  dhueñ  ke  bādal  haTūñ  to  pīchhe  balāoñ  ke  dal
ye  kaisā  manzar  yahāñ  vahāñ  hai  na  koī  aahaT  na  koī  halchal
sukūt  siine  meñ  aisā  kab  thā  gumāñ  bhī  guzre  na  dhaḌkanoñ  kā
ḳhudā  hī  jaane  ki  dil  kahāñ  hai  na  koī  aahaT  na  koī  halchal