ghuTī  ghuTī  ḳhaak  meñ  dabī  is  sadā  se  aage
hai  aur  sharā-e-marg  karb-o-balā  se  aage
mire  masīhā  talāsh  kar  dhaḌkanoñ  ke  jugnū
yahāñ  vahāñ  zindagī  paḌī  hai  fanā  se  aage
nigal  ga.ī  hañste-kheltoñ  ko  palak  jhapakte
sitamgarī  meñ  zamīñ  baḌhī  intihā  se  aage
unhīñ  kī  sāñsoñ  ko  le  uḌe  āñdhiyoñ  ke  rele
jo  ūñchā  uḌne  kī  chaah  meñ  the  havā  se  aage
sharīk-e-ġham  sab  hue  haiñ  lekin  ye  vaqt  vo  hai
ki  jis  meñ  darkār  aur  kuchh  hai  duā  se  aage
maiñ  chhat  tale  pīTtī  huuñ  'raḳhshanda'  apne  sar  ko
ki  ham-nafas  nañge  sar  khaḌe  haiñ  ridā  se  aage