āsmāñ  us  ke  liye  aur  zamīñ  us  ke  saath
shahr  kā  chal  diyā  har  ek  hasīñ  us  ke  saath
bas  yahī  soch  ke  maiñ  bhūkī  rahī  kitne  din
hogī  ik  dāvat-e-shīrāz  kahīñ  us  ke  saath
naav  ko  chaar  taraf  ghere  khaḌe  the  girdāb
ye  magar  faisla  merā  thā  nahīñ  us  ke  saath
kaise  maiñ  ḳhālī  karā  saktī  thī  ye  dil  apnā
ghar  ke  dīvār-o-dar-o-aks-o-makīñ  us  ke  saath
vo  jo  ik  pair  tale  shaḳhs  hai  bhūkā  pyāsā
boriyā  merā  lagā  diijo  vahīñ  us  ke  saath
us  kī  firoza-nigāhī  meñ  ajab  jaadū  hai
rañg  tabdīl  kare  chashm-e-nagīñ  us  ke  saath
duur  ākāsh  pe  raushan  rahe  husn-e-mahtāb
apnī  'raḳhshanda'  munavvar  hai  jabīñ  us  ke  saath