DhūñDhnā  milnā  bichhaḌnā  kahīñ  khonā  ruk  jaa.e
ye  jo  hotā  hai  tabī.at  meñ  ye  honā  ruk  jaa.e
ġham  kī  bad-rūh  se  kuchh  aur  tavaqqo.a  mat  rakh
raat  ke  pichhle  pahar  us  kā  ye  ronā  ruk  jaa.e
har  mahīne  kī  tarah  phir  se  baḌhe  iḳhrājāt
phir  kahīñ  nanhe  se  bachche  kā  khilaunā  ruk  jaa.e
is  liye  duble  hue  jaate  haiñ  sab  ahl-e-ishq
khānā-pīnā  na  rahe  chain  se  sonā  ruk  jaa.e
dil  kī  barbādī  bhī  hai  dast-darāzī  misdāq
jo  tire  saath  huā  auroñ  se  honā  ruk  jaa.e