koī  dastak  koī  Thokar  nahīñ  hai
tumhāre  dil  meñ  shāyad  dar  nahīñ  hai
use  is  dasht  kā  kyā  ḳhauf  hogā
vo  apne  jism  meñ  ho  kar  nahīñ  hai
miyāñ  kuchh  ruuh  Daalo  shā.irī  meñ
abhī  manzar  meñ  pas-manzar  nahīñ  hai
tirī  dastār  tujh  ko  Dho  rahī  hai
tire  kāñdhoñ  pe  terā  sar  nahīñ  hai
ise  la.anat  samajhiye  ā.inoñ  par
kisī  ke  haath  meñ  patthar  nahīñ  hai
ye  duniyā  āsmāñ  meñ  uḌ  rahī  hai
ye  lagtī  hai  magar  be-par  nahīñ  hai