agar  havāoñ  ke  ruḳh  mehrbāñ  nahīñ  hote
to  bujhtī  aag  ke  tevar  javāñ  nahīñ  hote
diloñ  pe  barf  jamī  hai  laboñ  pe  sahrā  hai
kahīñ  ḳhulūs  ke  jharne  ravāñ  nahīñ  hote
ham  is  zamīn  ko  ashkoñ  se  sabz  karte  haiñ
ye  vo  chaman  hai  jahāñ  bāġhbāñ  nahīñ  hote
kahāñ  nahīñ  haiñ  hamāre  bhī  ḳhair-ḳhvāh  magar
jahāñ  guhār  lagāo  vahāñ  nahīñ  hote
idhar  to  aañkh  barastī  hai  dil  dhaḌaktā  hai
ye  sānehāt  tumhāre  yahāñ  nahīñ  hote
vafā  kā  zikr  chalāyā  to  hañs  ke  bole  vo
fuzūl  kaam  hamāre  yahāñ  nahīñ  hote