bachpan  meñ  is  daraḳht  pe  kaisā  sitam  huā
jo  shāḳh  is  kī  maañ  thī  vahāñ  se  qalam  huā
munsif  ho  yā  gavāh  manāeñge  apnī  ḳhair
gar  faisla  anā  se  mirī  kuchh  bhī  kam  huā
ik  raushnī  taḌap  ke  ye  kahtī  hai  bārhā
kyuuñ  āsmāñ  kā  nuur  ghaTāoñ  meñ  zam  huā
yak-laḳht  aa  ke  aaj  vo  mujh  se  lipaT  gayā
jo  fāsla  diloñ  meñ  thā  ashkoñ  meñ  zam  huā