bam  phūTne  lageñ  ki  samundar  uchhal  paḌe
kab  zindagī  pe  kaun  bavanDar  uchhal  paḌe
dushman  mirī  shikast  pe  muñh  khol  kar  hañse
aur  dost  apne  jism  ke  andar  uchhal  paḌe
gahrā.iyāñ  simaT  ke  bikharne  lagīñ  tamām
ik  chāñd  kyā  dikhā  ki  samundar  uchhal  paḌe
mat  chheḌiye  hamāre  charāġhe-e-ḳhulūs  ko
shāyad  koī  sharār  hī  muñh  par  uchhal  paḌe
ghoḌoñ  kī  be-lagām  chhalāñgoñ  ko  dekh  kar
bachhḌe  kisī  nakel  ke  dam  par  uchhal  paḌe
gahrī  nahīñ  thī  aur  machaltī  thī  be-sabab
aisī  nadī  milī  to  shanāvar  uchhal  paḌe
yuuñ  muñh  na  phernā  ki  sabhī  dost  haiñ  yahāñ
kab  aur  kahāñ  se  piiTh  pe  ḳhanjar  uchhal  paḌe