bikhar  jaa.e  na  merī  dāstāñ  tahrīr  hone  tak
ye  āñkheñ  bujh  na  jaa.e  ḳhvāb  kī  ta.abīr  hone  tak
chalā.e  jā  abhī  tesha  qalam  kā  koh-e-zulmat  par
siyāhī  vaqt  bhī  letī  hai  jū-e-shīr  hone  tak
isī  ḳhātir  mire  ash.ār  ab  tak  Diary  meñ  haiñ
kisī  aalam  meñ  jī  leñge  ye  ālamgīr  hone  tak
tire  āġhāz  se  pahle  yahāñ  jugnū  chamakte  the
ye  bastī  muflisoñ  kī  thī  tirī  jāgīr  hone  tak
mujhe  tanz-o-malāmat  kī  baḌī  darkār  hai  yuuñ  bhī
anā  ko  shaan  bhī  to  chāhiye  shamshīr  hone  tak
mohabbat  āḳhirash  le  aa.ī  hai  ik  band  kamre  meñ
terī  tasvīr  ab  dekhūñgā  ḳhud  tasvīr  hone  tak