Nasir Zaidi

jaanib-e-dasht kabhi tum bhi nikal kar dekho

Nasir Zaidi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1943

jānib-e-dasht kabhī tum bhī nikal kar dekho

dosto ābla-pā.ī amal kar dekho

merī āshufta-sarī par na hañso ai logo

ishq aag meñ ḳhud bhī zarā jal kar dekho

tum jo chāho to mire dil ko sukūñ mil jaa.e

apnā andāz-e-nazar kuchh to badal kar dekho

maiñ tumheñ jiine ke andāz sikhā saktā huuñ

ek do gaam mere saath to chal kar dekho

chāñdnī-rātoñ meñ phirtā hai koī āvāra

tum ko fursat jo mile ghar se nikal kar dekho

fāsle barsoñ ke pal-bhar meñ simaT ā.eñge

aaj shab mire pahlū meñ machal kar dekho

us chehra hai kisī dasht sūraj 'nāsir'

us jānib kabhī dekho to sambhal kar dekho

Top Urdushayar.com