Dūbne  vaale  bhī  tanhā  the  tanhā  dekhne  vaale  the
jaise  ab  ke  chaḌhe  hue  the  dariyā  dekhne  vaale  the
aaj  to  shaam  hī  se  ā.ankhoñ  meñ  niiñd  ne  ḳheme  gaaḌ  diye
ham  to  din  nikle  tak  terā  rasta  dekhne  vaale  the
ik  dastak  kī  rim-jhim  ne  andeshoñ  ke  dar  khol  diye
raat  agar  ham  so  jaate  to  sapnā  dekhne  vaale  the
ek  savār  kī  saj-dhaj  ko  rastoñ  kī  vahshat  nigal  ga.ī
varna  is  tyauhār  pe  ham  bhī  mela  dekhne  vaale  the
maiñ  ne  jis  saf  ko  chhoḌā  hai  us  meñ  shāmil  saare  log
apne  qad  ko  bhuul  ke  apnā  saayā  dekhne  vaale  the
maiñ  paanī  aur  aag  se  ik  miTTī  kī  ḳhātir  lauTā  thā
aur  ye  donoñ  aalam  khel-tamāshā  dekhne  vaale  the
ab  ā.īna  hairat  se  ik  ik  kā  muñh  taktā  hai  'salīm'
pahle  log  to  ā.īñe  meñ  chehra  dekhne  vaale  the