Saleem Kausar

dil-e-simab-sifat phir tujhe zahmat dunga

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945

dil-e-sīmāb-sifat phir tujhe zahmat dūñgā

dūr-uftāda zamīnoñ masāfat dūñgā

apne atrāf nayā shahr basā.ūñgā kabhī

aur ik shaḳhs ko phir us hukūmat dūñgā

ik diyā niiñd āġhosh meñ jaltā hai kahīñ

silsila ḳhvāb TuuTe to bashārat dūñgā

qissa-e-sūd-o-ziyāñ vaqf-e-mudārāt huā

phir kisī roz mulāqāt zahmat dūñgā

maiñ ne jo likh diyā vo ḳhud hai gavāhī apnī

jo nahīñ likkhā abhī us bashārat dūñgā

ek safha kahīñ tārīḳh meñ ḳhālī hai abhī

āḳhirī jañg se pahle tumheñ mohlat dūñgā

Top Urdushayar.com