taare  jo  kabhī  ashk-fishānī  se  nikalte
ham  chāñd  uThā.e  hue  paanī  se  nikalte
ḳhāmosh  sahī  markazī  kirdār  to  ham  the
phir  kaise  bhalā  terī  kahānī  se  nikalte
mohlat  hī  na  dī  gardish-e-aflāk  ne  ham  ko
kyā  silsila-e-naql-e-makānī  se  nikalte
ik  umr  lagī  terī  kushāda-nazrī  meñ
is  tañgi-e-dāmāñ  ko  girānī  se  nikalte
bas  ek  hī  mausam  kā  tasalsul  hai  ye  duniyā
kyā  hijr-zada  ḳhvāb-e-javānī  se  nikalte
vo  vaqt  bhī  guzrā  hai  ki  dekhā  nahīñ  tum  ne
sahrāoñ  ko  dariyā  kī  ravānī  se  nikalte
shāyad  ki  'salīm'  amn  kī  sūrat  nazar  aatī
ham  log  agar  shola-bayānī  se  nikalte