qurbateñ  hote  hue  bhī  fāsloñ  meñ  qaid  haiñ
kitnī  āzādī  se  ham  apnī  hadoñ  meñ  qaid  haiñ
kaun  sī  āñkhoñ  meñ  mere  ḳhvāb  raushan  haiñ  abhī
kis  kī  nīndeñ  haiñ  jo  mere  ratjagoñ  meñ  qaid  haiñ
shahr  ābādī  se  ḳhālī  ho  ga.e  ḳhushbū  se  phuul
aur  kitnī  ḳhvāhisheñ  haiñ  jo  diloñ  meñ  qaid  haiñ
paañv  meñ  rishtoñ  kī  zanjīreñ  haiñ  dil  meñ  ḳhauf  kī
aisā  lagtā  hai  ki  ham  apne  gharoñ  meñ  qaid  haiñ
ye  zamīñ  yūñhī  sikuḌtī  jā.egī  aur  ek  din
phail  jā.eñge  jo  tūfāñ  sāhiloñ  meñ  qaid  haiñ
is  jazīre  par  azal  se  ḳhaak  uḌtī  hai  havā
manziloñ  ke  bhed  phir  bhī  rāstoñ  meñ  qaid  haiñ
kaun  ye  pātāl  se  ubhrā  kināre  par  'salīm'
sar-phirī  maujeñ  abhī  tak  dā.eroñ  meñ  qaid  haiñ