Saleem Kausar

na koi nam o nasab hai na goshwara mera

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945

na koī naam o nasab hai na goshvāra mirā

bas apnī āb-o-havā pe hai guzāra mirā

mirī zamīñ pe tire āftāb raushan haiñ

tire falak pe chamaktā hai ik sitāra mirā

jo chāhtā hai vo tasḳhīr kar le duniyā ko

kisī bhī shai pe nahīñ hai yahāñ ijāra mirā

maiñ ham-kanār huā ek lahar se aur phir

kināre meñ kahīñ gum huā kināra mirā

bas ek lamhā-e-benām giraft meñ haiñ

na jaane kaisā ta.alluq hai ye tumhārā mirā

to phir jo nafā hai maiñ us meñ kyuuñ nahīñ shāmil

agar yahāñ ḳhasāra hai sab ḳhasāra mirā

jo dhyān tak nahīñ detā hai merī bātoñ par

samajh rahā hai vahī shaḳhs to ishāra mirā

kahīñ ḳhushī numā.ish meñ rakh diyā kar

kal us ne basta-e-ġham taaq se utārā mirā

vahī hai til vahī ruḳhsār haiñ vahī hai

magar nahīñ hai samarqand aur buḳhārā mirā

maiñ baad o bārāñ se ātish kashīd kartā huuñ

ki aab o ḳhaak tamsīl hai idāra mirā

ab aa gayā huuñ to sochā sadā lagātā chalūñ

kise ḳhabar yahāñ aanā na ho dobāra mirā

darūn-e-ḳhāna koī bhī nahīñ kisī 'salīm'

pe dekhne meñ to lagtā hai shahr saarā mirā

Top Urdushayar.com