tū  sūraj  hai  terī  taraf  dekhā  nahīñ  jā  saktā
lekin  dekhne  vāloñ  ko  rokā  nahīñ  jā  saktā
ab  jo  lahar  hai  pal  bhar  baad  nahīñ  hogī  yaanī
ik  dariyā  meñ  dūsrī  baar  utrā  nahīñ  jā  saktā
ab  bhī  vaqt  hai  apnī  ravish  tabdīl  karo  varna
jo  kuchh  hone  vaalā  hai  sochā  nahīñ  jā  saktā
us  kī  galī  meñ  jaane  se  use  milne  se  ḳhud  ko
rokā  jā  saktā  hai  par  rokā  nahīñ  jā  saktā
kisī  ko  chāhat  aur  kisī  ko  nafrat  mārtī  hai
koī  bhī  ho  use  marte  to  dekhā  nahīñ  jā  saktā
ek  taraf  tire  husn  kī  hairat  ek  taraf  duniyā
aur  duniyā  meñ  der  talak  Thahrā  nahīñ  jā  saktā