dast-e-duā  ko  kāsa-e-sā.il  samajhte  ho
tum  dost  ho  to  kyuuñ  nahīñ  mushkil  samajhte  ho
siine  pe  haath  rakh  ke  batāo  mujhe  ki  tum
jo  kuchh  dhaḌak  rahā  hai  use  dil  samajhte  ho
har  shai  ko  tum  ne  farz  kiyā  aur  is  ke  ba.ad
saa.e  ko  apnā  madd-e-muqābil  samajhte  ho
dariyā  tumheñ  sarāb  dikhā.ī  diyā  aur  ab
gard-o-gubār-e-rāh  ko  manzil  samajhte  ho
ḳhush-fahmiyoñ  kī  had  hai  ki  paanī  meñ  ret  par
jo  bhī  jagah  mile  use  sāhil  samajhte  ho
tanhā.ī  jalva-gāh-e-tahayyur  hai  aur  tum
vīrāniyoñ  ke  raqs  ko  mahfil  samajhte  ho
jis  ne  tumhārī  niiñd  pe  pahre  biThā  diye
apnī  taraf  se  tum  use  ġhāfil  samajhte  ho