ye log jis se ab inkār karnā chāhte haiñ
vo guftugū dar-o-dīvār karnā chāhte haiñ
hameñ ḳhabar hai ki guzregā ek sail-e-fanā
so ham tumheñ bhī ḳhabar-dār karnā chāhte haiñ
aur is se pahle ki sābit ho jurm-e-ḳhāmoshī
ham apnī raa.e kā iz.hār karnā chāhte haiñ
yahāñ tak aa to ga.e aap kī mohabbat meñ
ab aur kitnā gunahgār karnā chāhte haiñ
gul-e-umīd farozāñ rahe tirī ḳhushbū
ki log use bhī giraftār karnā chāhte haiñ
uThā.e phirte haiñ kab se azāb-e-dar-badrī
ab is ko vaqf-e-rah-e-yār karnā chāhte haiñ
jahāñ kahānī meñ qātil barī huā hai vahāñ
ham ik gavāh kā kirdār karnā chāhte haiñ
vo ham haiñ jo tirī āvāz sun ke tere hue
vo aur haiñ ki jo dīdār karnā chāhte haiñ