charāġh-e-yād  kī  lau  ham-safar  kahāñ  tak  hai
ye  raushnī  mirī  dahlīz  par  kahāñ  tak  hai
bas  ek  tum  the  ki  jo  dil  kā  haal  jānte  the
so  ab  tumheñ  bhī  hamārī  ḳhabar  kahāñ  tak  hai
musāfirān-e-junūñ  gard  ho  ga.e  lekin
khulā  nahīñ  ki  tirī  rahguzar  kahāñ  tak  hai
har  ek  lamha  badaltī  huī  kahānī  meñ
hikāyat-e-ġham-e-dil  mo'tabar  kahāñ  tak  hai
zamīñ  kī  āḳhirī  had  par  pahuñch  ke  sochtā  huuñ
yahāñ  se  mausam-e-dīvār-o-dar  kahāñ  tak  hai
bichhaḌne  vāloñ  ko  andāza  hī  nahīñ  hotā
tū  ham-safar  hai  magar  ham-safar  kahāñ  tak  hai
ajiib  log  haiñ  āzādiyoñ  ke  maare  hue
qafas  meñ  pūchhte  phirte  haiñ  ghar  kahāñ  tak  hai