Shariq Jamal

husn tera jo kabhi wajd mein lata hai mujhe

Shariq Jamal

1969
husn terā jo kabhī vajd meñ laatā hai mujhe
ye jahāñ ā.ina-ḳhāna nazar aatā hai mujhe
dasht-e-pur-ḳhār meñ khīñche liye jaatā hai mujhe
har nayā ishq tire hijr meñ paatā hai mujhe
maiñ nahīñ maslak-e-arbāb-e-vafā se vāqif
husn kyuuñ raaz kī har baat batātā hai mujhe
jaane ye tū hai tirā ġham hai ki dil kī vahshat
jānib-e-koh-e-nidā koī bulātā hai mujhe
muntashir hotī chalī jaatī hai jab zaat mirī
mere andar koī tartīb meñ laatā hai mujhe
ik adū hai jo ujaḌne nahīñ detā mujh ko
ḳhud ko barbād bhī kar luuñ to basātā hai mujhe
garche ḳhud hāsil-e-taḳhlīq hai par husn tirā
bārhā safha-e-hastī se miTātā hai mujhe
manzil-e-ishq ye kaisī hai ki ā.īne meñ
apnā chehra bhī tirī yaad dilātā hai mujhe
husn ban jaatā hai har harf-e-fusūñ-ḳhez mirā
ishq jab sheva-e-guftār sikhātā hai mujhe
ḳhvāhish-e-nashv-o-numā hai mire dil meñ lekin
jitnā uThtā huuñ koī ḳhud se ghaTātā hai mujhe
ye bhī in.ām-e-basīrat hai ki 'shāriq' har dam
saaya ā.īne kī sūrat nazar aatā hai mujhe
Top Urdushayar.com