Shariq Jamal

husn tera jo kabhi wajd mein lata hai mujhe

Shariq Jamal

1969

husn terā jo kabhī vajd meñ laatā hai mujhe

ye jahāñ ā.ina-ḳhāna nazar aatā hai mujhe

dasht-e-pur-ḳhār meñ khīñche liye jaatā hai mujhe

har nayā ishq tire hijr meñ paatā hai mujhe

maiñ nahīñ maslak-e-arbāb-e-vafā se vāqif

husn kyuuñ raaz har baat batātā hai mujhe

jaane ye hai tirā ġham hai ki dil vahshat

jānib-e-koh-e-nidā koī bulātā hai mujhe

muntashir hotī chalī jaatī hai jab zaat mirī

mere andar koī tartīb meñ laatā hai mujhe

ik adū hai jo ujaḌne nahīñ detā mujh ko

ḳhud ko barbād bhī kar luuñ to basātā hai mujhe

garche ḳhud hāsil-e-taḳhlīq hai par husn tirā

bārhā safha-e-hastī se miTātā hai mujhe

manzil-e-ishq ye kaisī hai ki ā.īne meñ

apnā chehra bhī tirī yaad dilātā hai mujhe

husn ban jaatā hai har harf-e-fusūñ-ḳhez mirā

ishq jab sheva-e-guftār sikhātā hai mujhe

ḳhvāhish-e-nashv-o-numā hai mire dil meñ lekin

jitnā uThtā huuñ koī ḳhud se ghaTātā hai mujhe

ye bhī in.ām-e-basīrat hai ki 'shāriq' har dam

saaya ā.īne sūrat nazar aatā hai mujhe

Top Urdushayar.com