Shariq Jamal

shikasta-pa hain koi aasra banate hain

Shariq Jamal

1969
shikasta-pā haiñ koī aasrā banāte haiñ
miTā ke ḳhud ko jo ham ik ḳhudā banāte haiñ
hameñ shu.ūr-e-haqīqat nahīñ so ham aksar
fareb-e-jumbish-e-bāl-e-humā banāte haiñ
vo apne husn kā har raaz kholne ke liye
qabā banāte haiñ band-e-qabā banāte haiñ
abad ke dosh pe sū-e-azal chale haiñ ki ham
nayā hī naqsh koī dahr kā banāte haiñ
ḳhudā-e-mausam-e-gul un ko tāzgī baḳhshe
jo dast-e-shauq se dast-e-sabā banāte haiñ
na.e sire se koī intihā banāne ko
na.e sire se koī ibtidā banāte haiñ
ḳhudā-shanās haiñ ham is liye ba-nām-e-sanam
haram banāte haiñ qibla-numā banāte haiñ
kabhī guzar na sakeñ apne qariya-e-jāñ se
so ham vajūd meñ apne ḳhalā banāte haiñ
kisī hasīna-e-bilqīs-adā kī ḳhātir ham
nigār-ḳhāna-e-shahr-e-sabā banāte haiñ
ham apne zehn ke qirtās par tire hote
tujhe banāte haiñ aur jā-ba-jā banāte haiñ
chalo jahān-e-ḳhayāl-o-gumān meñ 'shāriq'
phir is jahāñ sā koī sāneha banāte haiñ
Top Urdushayar.com