tark-e-ulfat  kā  irāda  bhī  nahīñ
un  se  iz.hār  tamannā  bhī  nahīñ
vaqt  kaTtā  hī  na  thā  jis  ke  baġhair
us  ko  muddat  huī  dekhā  bhī  nahīñ
jaisī  guzrī  hai  ġhanīmat  hai  magar
zindagī  terā  bharosa  bhī  nahīñ
dil  meñ  rakhtā  hai  bahut  kuchh  lekin
baat  kahne  kī  vo  kahtā  bhī  nahīñ
ḳhuub  saj-dhaj  hai  tumhārī  phir  bhī
dekhnā  kaisā  vo  taktā  bhī  nahīñ
ghuur  kar  dekhtā  rahtā  hai  mujhe
maiñ  ne  us  ko  kabhī  dekhā  bhī  nahīñ
bāteñ  kartā  hai  musalsal  'kausar'
roz  miltā  hai  shanāsā  bhī  nahīñ