bhare  jahāñ  meñ  koī  rāzdār  bhī  na  milā
qarār  DhūñDne  nikle  qarār  bhī  na  milā
ye  merī  soḳhta-baḳhtī  nahīñ  to  phir  kyā  hai
vo  phuul  laa.e  to  merā  mazār  bhī  na  milā
na  jaane  kaisī  karāmat  thī  dast-e-sāqī  meñ
ba-qaid-e-hosh  koī  hoshiyār  bhī  na  milā
chaman  chaman  meñ  udāsī  kā  bol-bālā  hai
bahār  kaisī  nishān-e-bahār  bhī  na  milā
bahut  the  aish  ke  lamhoñ  meñ  jāñ-nisār  apne
paḌā  jo  vaqt  koī  ġham-gusār  bhī  na  milā
maiñ  apne  gaañv  meñ  rah  kar  bhī  ajnabī  hī  rahā
mujhe  to  apnoñ  se  thoḌā  sā  pyaar  bhī  na  milā
ḳharāb  hī  rahī  qismat  ḳhizāñ-nasīboñ  kī
bahār  aa.ī  to  lutf-e-bahār  bhī  na  milā
hañsī  to  apnā  muqaddar  na  thī  magar  'kausar'
hameñ  to  rone  pe  kuchh  iḳhtiyār  bhī  na  milā