yuuñ  shab-e-hijr  terī  yaad  aa.ī
duur  bajtī  ho  jaise  shahnā.ī
aap  apnī  hañsī  uḌātā  huuñ
ḳhud  tamāsha  huuñ  ḳhud-tamāshā.ī
jab  zamāne  ne  saath  chhoḌ  diyā
apnī  dīvāngī  hī  kaam  aa.ī
kal  junūñ  kā  mazāq  uḌātī  thī
ab  junūñ  se  ḳhajil  hai  dānā.ī
aa.ina  dil  kā  chuur  chuur  huā
aur  āvāz  tak  nahīñ  aa.ī
kitnā  iThlā  ke  chal  rahī  hai  sabā
terā  paiġhām  to  nahīñ  laa.ī
shā.iroñ  meñ  shumār  ho  jis  se
mujh  meñ  vo  baat  abhī  nahīñ  aa.ī