charche  tire  ḳhulūs  ke  duniyā  meñ  kam  na  the
phir  bhī  tire  karam  ke  sazā-vār  ham  na  the
hogā  koī  sharīr  sā  jhoñkā  nasīm  kā
jis  ne  tirī  naqāb  uThā.ī  vo  ham  na  the
muzmar  thiiñ  tere  jaur  meñ  terī  ināyateñ
tere  sitam  bhī  terī  navāzish  se  kam  na  the
us  rāste  pe  chhoḌ  gayā  rāhbar  mujhe
jis  rāste  pe  aap  ke  naqsh-e-qadam  na  the
ma.asūmiyat  ne  jiinā  bhī  dushvār  kar  diyā
nā-karda-kār  dil  meñ  kabhī  itne  ġham  na  the
kuchh  bojh  ban  chukī  thiiñ  tirī  kam-nigāhiyāñ
mahfil  meñ  intishār  kā  baa.is  to  ham  na  the
'kausar'  ko  bāryābī  kā  e.azāz  mil  gayā
pahle  hī  us  pe  aap  ke  ehsān  kam  na  the