dekhtā  bhī  hai  dekhtā  bhī  nahīñ
jaise  vo  mujh  ko  jāntā  bhī  nahīñ
kis  tarah  aaj  ḳhud  ko  pahchānūñ
mere  ghar  meñ  to  aa.ina  bhī  nahīñ
dhaak  thī  saare  shahr  meñ  jis  kī
ab  use  koī  pūchhtā  bhī  nahīñ
pīchhe  muḌne  meñ  ḳhauf-e-rusvā.ī
aage  jaane  kā  rāsta  bhī  nahīñ
roz  ḳhabroñ  meñ  naam  aatā  hai
shahr  meñ  koī  jāntā  bhī  nahīñ
ġhair  se  pūchhtā  hai  haal  mirā
maiñ  bulā.ūñ  to  boltā  bhī  nahīñ
us  ko  niklā  huuñ  DhūñDne  'kausar'
jis  kā  koī  atā-patā  bhī  nahīñ