aapas  meñ  koī  rabt  kā  imkān  bhī  na  thā
donoñ  taraf  ye  marhala  āsān  bhī  na  thā
chāragaroñ  kī  pursish-e-paiham  ke  bāvajūd
maiñ  mutma.in  na  thā  to  pareshān  bhī  na  thā
pahlū  badal  badal  ke  vo  kartā  thā  guftugū
maiñ  sab  samajh  rahā  thā  ki  anjān  bhī  na  thā
baat  us  kī  dil  meñ  mere  utartī  chalī  ga.ī
vo  ajnabī  thā  aur  mirā  mehmān  bhī  na  thā
kyuuñ  mujh  ko  mezbānī  kā  mauqa  na  mil  sakā
maiñ  is  qadar  to  be-sar-o-sāmān  bhī  na  thā
vo  kitnā  sard-mehr  thā  mālūm  ho  gayā
va.ada-ḳhilāf  ho  ke  pashemān  bhī  na  thā
'kausar'  amīr-e-shahr  se  milne  meñ  uzr  kyuuñ
kuchh  fā.eda  nahīñ  thā  to  nuqsān  bhī  na  thā