Ahmad Farhad

kafir hun sar-phira hun mujhe mar dijiye

Ahmad Farhad

kāfir huuñ sar-phirā huuñ mujhe maar dījiye

maiñ sochne lagā huuñ mujhe maar dījiye

hai ehtirām-e-hazrat-e-insān merā diin

be-dīn ho gayā huuñ mujhe maar dījiye

maiñ pūchhne lagā huuñ sabab apne qatl

maiñ had se baḌh gayā huuñ mujhe maar dījiye

kartā huuñ ahl-e-jubba-o-dastār se savāl

gustāḳh ho gayā huuñ mujhe maar dījiye

ḳhushbū se merā rabt hai jugnū se merā kaam

kitnā bhaTak gayā huuñ mujhe maar dījiye

ma.alūm hai mujhe ki baḌā jurm hai ye kaam

maiñ ḳhvāb dekhtā huuñ mujhe maar dījiye

zāhid ye zohd-o-taqvā-o-parhez ravish

maiñ ḳhuub jāntā huuñ mujhe maar dījiye

be-dīn huuñ magar haiñ zamāne meñ jitne diin

maiñ sab ko māntā huuñ mujhe maar dījiye

phir us ke ba.ad shahr meñ nāchegā shor

maiñ āḳhirī sadā huuñ mujhe maar dījiye

maiñ Thiik sochtā huuñ koī had mere liye

maiñ saaf dekhtā huuñ mujhe maar dījiye

ye zulm hai ki zulm ko kahtā huuñ saaf zulm

kyā zulm kar rahā huuñ mujhe maar dījiye

zinda rahā to kartā rahūñgā hamesha pyaar

maiñ saaf kah rahā huuñ mujhe maar dījiye

jo zaḳhm bāñTte haiñ unheñ ziist pe hai haq

maiñ phuul bāñTtā huuñ mujhe maar dījiye

bārūd nahīñ mirā maslak darūd hai

maiñ ḳhair māñgtā huuñ mujhe mirā dījiye

Top Urdushayar.com