Shyam Sunder Lal Barq

abas hai duri ka uske shikwa baghal mein apne wo dil-ruba hai

Shyam Sunder Lal Barq

abas hai duurī us ke shikva baġhal meñ apne vo dil-rubā hai

chubhī hai qālib meñ jis tarah jaañ use tarīqe se vo chhupā hai

makāñ bhī hai vo makīñ bhī hai vo vahī milā hai vahī judā hai

usī jalva har ek hai vahī hai zāhir vahī chhupā hai

ġham-e-mohabbat hai us jis ko nahīñ vo ġham ain hai vo rāhat

ḳharāb jo ishq meñ hai us ke nahīñ vo bigḌā banā huā hai

na pārsā.ī namāz se hai na roza-dārī hai zohd-o-taqvā

mai-e-mohabbat piye jo us vahī haqīqat meñ pārsā hai

vo rañj āḳhir ko hogā rāhat vo marg-e-umr-e-davām hogī

jo ishq-e-sādiq meñ mar miTā to phir abas shākī-e-jafā hai

na koī dushman na dost apnā na nek-o-bad se hameñ ta.alluq

jo chashm-e-vahdat se ham ne dekhā na kuchh burā hai na kuchh bhalā hai

jo dard-e-hijrāñ se jāñ-ba-lab hai ilaaj mumkin hai us kyūñkar

masīh samjhe haiñ jis ko vo ḳhud maraz meñ ulfat mubtalā hai

jahāñ meñ sad.hā hazār-hā ghar base jo the vo ujaḌ ga.e haiñ

na hogā vīrān ḳhāna-e-dil jahāñ vo but aa ke bas gayā hai

jo hai talabgār us sādiq huā hai donoñ-jahāñ se fāriġh

na hūr-o-ġhilmāñ hai vo ḳhvāhāñ na vo hasīnoñ pe shefta hai

zabān-e-insāñ meñ kab hai qudrat kare jo iz.hār-e-shān-e-vahdat

na ibtidā se hai koī vāqif na us ma.alūm intihā hai

uThā le fazl-o-karam se yārab karīm hai aur rahīm hai

jo 'barq' bār-e-azīm-e-isyāñ se gir ke dar par tire paḌā hai

Top Urdushayar.com